Jidhar Bhi Dekhta Hoon black back
| !! Jidhar Bhi Dekhta Hoon !!
jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai
tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein... zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai
asar karti yakeenan agar choo jaati unke dil ko lekin afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
maikade mein jab bhi zikar aata hai tere naam ka shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai
kabhi aa ke mere zakhmon se muqaabilaa to kar ae khushi tu mooh chhuppaa ke kidhar jaati hai
tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana hoga unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai
!! re love Gaurav !!
|
| |
__._,_.___
website: www.forangelsonly.org
.
No comments:
Post a Comment